Friday, April 20, 2012

Raqs karne ka mila hukm jo dariyaon mein...


رقص کرنے کا  ملا حکم جو صحراؤں میں 
ہم  نے خوش ہوکے بھنور باندھ لئے پاؤں میں

جو بھی آتا ہے بتاتا ہے  نیا کوئی کوئی علاج 
بٹ نہ جائے میرا بیمار مسیحاؤں میں 

وہ خدا ہے تو کسی ٹوٹے ہوے دل میں ہوگا 
مندروں میں اسے ڈھونڈھو نہ کلیساؤں میں 

جس برہمن نے کہا تھا یہ سال اچّھا ہوگا 
اس کو دفناؤ میرے ھا تھ کی ریکھاؤں میں  

ہم کو آپس میں محبّت نہیں کرنے دیتے 
بس یہی عیب ہے اس شہر کے داناؤں میں


raqs karne ka mila hukm jo dariyaon mein
ham ne khush hoke bhanwar bandh liye paon mein

un ko bhi hai kisi bheege hue manzar ki talash
boond tak bo na sake jo kabhi sahraon mein

ai mere ham-safaro tum bhi thake-hare ho
dhoop ki tum to milawat na karo chhaon mein

jo bhi aata hai batata hai naya koi ilaj
bat na jaye tera beemar masihaon mein

hausala kis mein hai yusuf ki kharidari ka
ab to manhgai ke charche hain zulaikhaon mein

jis barhaman ne kaha hai k ye saal acha hai
us ko dafnao mere hath ki rekhaon mein

wo Khuda hai kisi toote hue dil mein hoga
masjidon mein use dhundo na kalisaon mein
  
hum ko apas mein muhabbat nahin karne dete
ik yahi aib hai is shahar k danaon mein

mujh se karte hain Qateel is liye kuch log hasad
kyon mere sher hain maqbul hasinaon mein

No comments:

Post a Comment